Ghazals | غزلیں


English اردو


har naz^ar goyaa kitaab-e-i'shq kee tafseer hai
har naz^ar goyaa kitaab-e-i'shq kee tafseer hai
:jis adaa ko dekh`taa hooN, Husn kee taSveer hai:

dil miraa mast-e-mai-Khudraayee-e-tadbeer hai
aur udh`ar jo dekh`iYe to Khandah-zan taqdeer hai!

i'shq kee qismat meN kyaa taqSeer hee taqSeer hai?
har maqaam-e-aarzoo ik koo-e-daar-o-geer hai!

kyaa bh`arosa hai tire is saayah-e-deevaar kaa?
saamne naz^roN ke jab deevaar kee teHreer hai!

yeh kaheN ahl-e-Khirad, is chaak-daamaanee ke saath`
aap ko kyoN ik jahaaN kee fikr daamangeer hai?

kyoN Daraataa hai zamaanah ham ko rusvaayee se aaj?
a'ashiqee ham ko bh`alaa kab baai'c-e-tauqeer hai?

har qadam per ik tamannaa, her gh`aRee Hasrat nayee!
Khwaab se dilchasp Khwaab-e-shauq kee ta'beer hai!

bandagee meN aap kee :Sarwar: musalmaaN ho gayaa
aur dunyaa ke liye voh bandah-e-takfeer hai!