English اردو
yeh hujoom-e-naa-muraadee dil-e-beqaraar kab tak?
yeh hujoom-e-naa-muraadee dil-e-beqaraar kab tak?yooN hee muntaz^ir rahe gaa sar-e-rehguZaar kab tak?
vohee t^arz-e-dilnavaazee ai nigaah-e-yaar! kab tak?
rahe yooN hee pyaasaa aaKhir tiraa mai-gusaar kab tak?
too bataa mujh`e, Dh`ale gee shab-e-intiz^aar kab tak?
yehee aarzoo kare gee mujh`e saNgsaar kab tak?
miraa har nafas sazaa hai, koyee Gham kee intihaa hai?
miree bekasee kahaaN tak? tiraa iKhtiyaar kab tak?
koyee baat to bataa,o, koyee fard-e-jurm laa,o!
sar-e-daar-e-Gham rahe gaa yeh gunaahgaar kab tak?
too kahaaN hai aur kyaa hai, tiraa kyaa ataa-pataa hai?
yeh bataa keh raaz ho gaa tiraa aashkaar kab tak?
mujh`e kaun pooch`taa hai, mujh`e kaun jaantaa hai?
rahooN bazm-e-shaai'ree meN maiN yooN be-vaqaar kab tak?
yeh HiSaar-e-Zaat :Sarwar:! kaheeN tujh` ko le na Doobe!
bh`alaa aisee kam-nigaahee sar-e-t`oor-e-yaar kab tak?
غزل
