English اردو
naz^ar jab se woh mehrbaaN ho gayee hai *
naz^ar jab se woh mehrbaaN ho gayee haizameeN i'shq kee aasmaaN ho gayee hai!
tamaashah yeh u'mr-e-rawaaN ho gayee hai
yaqeeN se guZar kar gumaaN ho gayee hai
miree Khaaksaaree daleel-e-Khudee th`ee
yehee be-nishaanee nishaaN ho gayee hai!
muHabbat meN taSweer-e-Gham hooN saraapaa
zabaaN be-niyaaz-e-fuGhaaN ho gayee hai
miree daastaaN aaNsu,oN kee zabaanee
yooN hee qat^rah qat^rah bayaaN ho gayee hai!
zamaaneh ko Hairat hai kyoN Khaamushee par?
miree be-zabaanee zabaaN ho gayee hai
naz^ar se naz^ar kee shanaa-saa,iyaaN haiN
gh`aRee do gh`aRee ko amaaN ho gayee hai
wohee HasrateN haiN, wohee maiN hooN :Sarwar:
mukammal miree daastaaN ho gayee hai!
غزل
