Ghazals | غزلیں


English اردو


bayaan qiSSah-e-be-chaaragee kiyaa jaaYe! *
bayaan qiSSah-e-be-chaaragee kiyaa jaaYe!
jo dil kee reh gayee dil meN use kahaa jaaYe

yeh zindagee hai to ph`ir maut kis ko kehte haiN?
nah royaa jaaYe hai mujh` se nah hee haNsaa jaaYe!

tire Khayaal kee aasoodagee! mua'aZ-Allah!
yeh jab bh`ee aaYe hai, ik u'mr kaa gilaa jaaYe!

faaeeh-e-shehr bh`ee bikne lage sar-e-baazaar
Ghareeb-e-shehr kahaaN jaaYe aur kyaa jaaYe?

Gham-e-Hayaat, Gham-e-aarzoo, Gham-e-dunyaa!
Khudaa hee jaane kahaaN tak yeh silsilaa jaaYe!

bayaan-e-Gham se naheeN ham ko Khauf-e-ruswaayee
yeh Dar hai naam tiraa bh`ool kar nah aa jaaYe

suno yeh Sirf miree be-kasee kaa Zikr naheeN
woh Gham hai jis meN zamaaneh kaa Gham samaa jaaYe

a'jeeb cheez hai dil kaa mu,a'amilah "Sarwar"
kahaa nah jaaYe, nah hee bin kahr rahaa jaaYe!