Ghazals | غزلیں


English اردو


agar azal th`aa to kyaa abad hai? makaaN hai yaa laa-makaaN naheeN hai? *
agar azal th`aa to kyaa abad hai? makaaN hai yaa laa-makaaN naheeN hai?
yeh mas,alah Hal jo ho to kaise, kahaaN hai too aur kahaaN naheeN hai?

agar nah ho tarjumaan-e-hastee, to us meN Husn-e-bayaaN naheeN hai
jo ho nah Khoon-e-jigar se raNgeeN, woh daastaaN daastaaN naheeN hai!

nikal ke aiwaan-e-tamkinat se jo mere dil meN Zaraa too jh`aaNke
baRaa koyee mas,alah miree jaaN! mire tire darmiyaaN naheeN hai!

hameN bh`ee Haq hai keh ham zamaaneh ko qiSSah-e-daar-e-Gham sunaaYeN
qalam hamaaraa hai sar-bureedah yaa muNh meN apne zabaaN naheeN hai?

yeh meree taqdeer kee kamee hai, yeh meree apnee subuk-saree hai
naheeN hai tujh` se koyee shikaayat, yaqeen kar meree jaaN! naheeN hai!

bh`alaa bataa,o hai waasat^ah kyaa use miree kisht-e-shaai'ree se?
jo she'r bh`ee gul-badan naheeN hai, Ghazla jo a'Nbar-fishaaN naheeN hai

a'jeeb dastoor-e-be-kasee hai, laRee hai qismat to yooN laRee hai
zameeN bh`ee zer-e-qadam naheeN hai, saroN pah bh`ee aasmaaN naheeN hai!

puraanee yaadoN ko Dh`ooNDtaa hooN, maiN regzaar-e-junooN meN "Sarwar"!
yaheeN kaheeN meraa qaSr-e-dil th`aa jahaaN koyee ab nishaaN naheeN hai