Ghazals | غزلیں


English اردو


raNg-o-Khushboo, shabaab-o-ra'naayee *
raNg-o-Khushboo, shabaab-o-ra'naayee!
ho gayee aap se shanaa-saayee!

ho to kis kis kee ho paZeeraayee?
naaz, andaaz, Husn, Zebaayee!

log jis ko bahaar kehte haiN
woh kisee shoKh kee hai aNgRaayee!

ham bh`ee majboor, aap bh`ee majboor
aah! dunyaa kee kaar-farmaayee

Khastagaan-e-qafas ko kyaa mat^lab
kab gayee aur kab bahaar aayee

Khud-shanaasee Khudaa-shanaasee hai
baat meree samajh` meN yeh aayee!

aaj tak raaz-e-zindagee nah kh`ulaa
maiN tamaashah hooN yaa tamaashaayee?

un se ummeed-e-dostee "Sarwar"!
aap kyaa ho gaYe haiN saudaayee?