English اردو
agar too har nafas fit^rat kaa ham-aawaaz ho jaaYe *
agar too har nafas fit^rat kaa ham-aawaaz ho jaaYesaraapaa soz ban jaaYe, mujassam saaz ho jaaYe!
kamaal-e-i'shq i'rfaan-e-Haqeeqat hai, yaqeena" hai
Khudaa aisaa kare tujh` par yeh u'qdah baaz ho jaaYe
hameN ulfat kee is jaadoo-garee ne maar rakkh`aa hai
naz^aarah-soz reh kar woh naz^aarah-saaz ho jaaYe
tujh`e har lamHah ai dil! fikr-e-anjaam-e-junooN kyoN ho?
agar jaZbah tiraa shaa,istah-e-aaGhaaz ho jaaYe
hamaaree be-zabaanee kaa tamaashah dekh`ne waalo!
kaheeN aisaa nah ho yeh Khaamushee aawaaz ho jaaYe
KhizaaN-deedah sahee lekin bahaaroN kaa shanaasaa hooN
gh`aRee bh`ar ko hee boo-e-gul miree dam-saaz ho jaaYe!
chalo yooN hee sahee, dil-bastagee kaa kuch` to saamaaN hai
balaa se faash meree Khaamushee kaa raaz ho jaaYe
naz^ar uTTh`ee to hai us kee maqaam-e-Khud-shanasee meN
ta,a'juub kyaa keh "Sarwar" aashnaa-e-raaz ho jaaYe