Ghazals | غزلیں


English اردو


kuch` apnee Khush-gumaanee kaa, kuch` un kee bad-gumaanee kaa *
kuch` apnee Khush-gumaanee kee, kuch` un kee bad-gumaanee kaa
yeh afsaanah muHabbat kaa hai, qiSSah hai jawaanee kaa!

saleeqah chaahtee hai u'mr bh`ar mar-mar ke jeene kaa
ada gar ho to kaise ho taqaaZ^ah zindagaanee kaa?

hameN ahl-e-qafas keh keh keh yeh qiSSah Daraate haiN
keh bairoon-e-qafas Heelah nah daane kaa nah paanee kaa!

mujh`e ch`eRe nah koyee, maiN zamaanah kaa sataayaa hooN
Khamoshee hai nishaan-e-dard meree be-nishaanee kaa

jahaaN se daastaan-e-dard kaa aaGhaaz hotaa hai
waheeN anjaam hotaa hai muHabbat kee kahaanee kaa

nishaat^-e-saayah-e-deewaar marhoon-e-tamaazat hai
GhamoN se kuch` to rishtah hai suroor-o-shaadmaanee kaa!

udh`ar woh Husn-e-bepaayaaN, idh`ar yeh i'shq-e-be-maayah!
woh dunyaa raNg-o-Khushboo kee, yeh lamHah sar-giraanee kaa

yeh ph`ooloN meN ch`upe Khanjar, yeh maar-e-aasteeN "Sarwar"
bataa,o kyaa karo ge dostoN kee mehrbaanee kaa?