Ghazals | غزلیں


English اردو


ph`ir usee Gham se aashnaayee hai *
ph`ir usee Gham se aashnaayee hai
ph`ir t^abee,a't kisee pah aayee hai

jaante haiN wafaa kee qeemat ham
haaN! magar qismat-aazmaayee hai!

SubH-dam aah! shaam ko aaNsoo!
u'mr yooN hee naheeN gaNwaayee hai!

ham ko yeh Khwaahish-e-KhizaaN kyoN hai?
ho nah ho ph`ir bahaar aayee hai!

ch`oR de to bh`ee saath` ai ummeed!
aisee kyaa mujh` se aashnaayee hai?

mar gaYe intiz^aar meN be-maut
maut aayee to aaj aayee hai!

baa-vuZ^oo qatl karne aaYe haiN
paarsaayee see paarsaayee hai!

roz-o-shab kee yeh bekalee "Sarwar"
dil meN aaKhir yeh kyaa samaayee hai?