English اردو
dil-shikastah huYe, ruswaa huYe, badnaam huYe *
dil-shikastah huYe, ruswaa huYe,badnaam huYe!kaun kehtaa hai keh ham i'shq meN naakaam huYe?
dekh`iYe Khoobee-e-taqdeer, hamaare aaNsoo
pehle ilzaam bane, ph`ir yehee in,a'am huYe!
kyoN nah meHboob ho ruswaayee-e-dunyaa ham ko?
pehle ham KhaaS th`e ab shukr-e-Khudaa! a'am huYe!
woh shab-o-ros keh jab kaam kisee yaad se th`aa
nazr sab aaj tire ai Gham-e-ayyaam! huYe
HaaSil-e-u'mr yehee laZZat-e-giryah Th`ehree
yooN to hone ko bohat se Gham-o-aalaam huYe
th`ak ke Khaamosh huyee jaatee hai dil kee dh`aRkan
aa bh`ee jaa,o keh bohat der huyee shaam huYe!
le gayaa Sabr-o-sukooN koyee miraa ulfat meN
reh gaYe Gham, to woh saare hee mire naam huYe
yooN rahe kash-makash-e-wehm-o-yaqeeN meN "Sarwar"
jab yaqeeN Had se baRh`aa, bandah-e-auhaam huYe
غزل
