Ghazals | غزلیں


English اردو


Gham-e-zindagee! tiraa shukriyah, tire faiZ^ hee se yeh Haal hai *
Gham-e-zindagee! tiraa shukriyah, tire faiZ^ hee se yeh Haal hai
wohee SubH-o-shaam kee uljh`aneN, wohee raat-din kaa wabaal hai!

nah chaman meN boo-e-saman rahee, nah hee raNg-e-laalah-o-gul rahaa
to Khafaa Khafaa saa hae waaqie'e keh yeh Sirf meraa Khayaal hai?

ise kaise zeest kahe koyee gahe aah-e-dil, gahe chasm-e-nam!
wohee raat-din kee muSeebateN, wohee maah hai, wohee saal hai

maiN GhamoN se hooN jo yooN mut^ma,in too buraa nah maane to maiN kahooN
tire Husn kaa naheeN faiZ^ kuch`, miree a'ashiqee kaa kamaal hai

hai yeh aag kaisee lagee huyee, mire dil ko aaj huwaa hai kyaa?
jo hai Gham to hai Gham-e-aarzoo, agar hai to fikr-e-wiSaal hai

koyee kaash mujh` ko bataa sake rah-o-rasm-e-i'shq kee uljh`aneN
woh kahe to baat patah kee hai, maiN kahooN to Khaam Khayaal hai

zahe i'shq-e-Ahmad-e-Must^afaa naheeN fikr-e-roz-e-jazaa mujh`e
yehee aarzu,oN kee Eid hai, yehee zindagee kaa ma,aal hai

yeh bataa keh kyaa hai tujh`e huwaa paYe i'shq "Sarwar"-e-Gham-zadah
nah woh mastiyaaN, nah woh shoKhiyaaN, nah woh Haal hai, nah woh qaal hai