Ghazals | غزلیں


English اردو


miraa dil zamaaneh se hai judaa, saman-o-gulaab ko kyaa karooN? *
miraa dil zamaaneh se hai judaa, saman-o-gulaab ko kyaa karooN?
nah ph`ir aa,ooN hosh meN woh pilaa, maiN sharaab-e-naab ko kyaa karooN?

nah woh jalwateN, nah woh KhalwateN, nah HikaayateN, nah shikaayateN
shab-e-maahtaab chale gaYe, shab-e-maahtaab ko kyaa karooN?

jo Khayaal-o-Khwaab meN ik HaseeN, rag-e-jaaN ko ch`oo gayaa, aafreeN!
too bataa de ai mire ham-nasheeN! keh maiN aise Khwaab ko kyaa karooN?

kabh`ee dushmanoN ne dukh`aa diyaa, kabh`ee dostoN ne rulaa diyaa
rahaa zindah ph`ir bh`ee yeh merHabaa! dil-e-laajawaab ko kyaa karooN?

miree rooH aaj udaas hai, miree jaan-o-dil pah hiraas hai
nah woh gulbadan mire paas hai, maiN bh`alaa shabaab ko kyaa karooN?

wohee Dh`ooNDnaa koo-ba-koo, wohee manzileN, wohee justjoo
wohee jaan dene kee aarzoo, maiN dil-e-Kharaab ko kyaa karooN?

wohee kaavisheN, wohee kaahisheN, wohee HasrateN, wohee KhwaahisheN
dil-e-rezah-rezah kee turbateN, maiN tire i'taab ko kyaa karooN?

kisee dar se maaNge miree balaa, maiN hooN "Sarwar"-e-Haram-aashnaa
hooN gadaaYe-Ahmad-e-Mustafaa, maiN tiree sharaab kokyaa karooN?