Ghazals | غزلیں


English اردو


fareb de ke liYe aur fareb kh`aa ke liYe *
fareb de ke liYe aur fareb kh`aa ke liYe
maze sitam ke liYe aur muskuraa ke liYe!

hazaar dard zamaanah se jee uTh`aa ke liYe
jo chand reh gaYe woh tum se dil lagaa ke liYe

sunaa hai un ko miraa Khoon-e-aarzoo kam hai
kuch` aur chaahiYe raNgeenee-e-fiZ^aa ke liYe!

karo ge kyaa jo yaqeeN aa gayaa kaheeN ham ko?
dikh`aa,o itnee muHabbat nah tum Khudaa ke liYe

abh`ee se haath` qalam kar diYe zamaaneh ne
abh`ee to haath` uTh`e bh`ee nah th`e dua'a ke liYe

ik aur barg-e-tamannaa huwaa shikaar-e-alam
ik aur raah kh`ulee shoKhee-e-Sabaa ke liYe!

nigaah-e-yaas, dil-e-taNg, mausam-e-be-mehr
bahaanah koyee to ho a'rZ^-e-mudd,a'a ke liYe

shumaar ab kahaaN zindoN meN meraa ai "Sarar"?
maiN jee rahaa hooN faqat^ i'shq-e-Mustafaa ke liYe