Ghazals | غزلیں


English اردو


i'shq-e-Khuddaar nah ho dekh`iYe bedaar kaheeN *
i'shq-e-Khuddaar nah ho dekh`iYe bedaar kaheeN
kh`ol deN raaz nah gh`ar ke dar-o-deewaar kaheeN!

SubH ummeed-e-karam, shaam ko naa-ummeedee
marHale zeest ke aasaaN kaheeN, dushwaar kaheeN!

dosto! dil ne koyee baat to sochee ho gee
haartaa hai koyee yooN i'shq meN bekaar kaheeN?

har t^araf zor-e-siyaasat ne qiyaamat Dh`aayee
kaheen tasbeeH-o-munaajaat haiN, zunnaar kaheeN!

beniyaazee peh tiree Sabr kiYe lete haiN
mil hee jaaYe gaa hameN saayah-e-deewaar kaheeN

raNg dunyaa-e-muHabbat kaa badal jaaYe gaa
tere deewaane agar ho gaYe hushyaar kaheeN!

yeh muHabbat mire eemaaN kaa hai partav logo!
yooN hee hotaa hai koyee is kaa sazaawaar kaheeN?

ek Gham ho to karooN Zikr maiN us kaa "Sarwar"
aasteeN hai kaheeN, daaman kaheeN, aur taar kaheeN!