Ghazals | غزلیں


English اردو


jo subH-o-shaam pa,e-intiz^aar guZre haiN
jo subH-o-shaam pa,e-intiz^aar guZre haiN
voh gul-badast ba-raNg-e-bahaar guZre haiN!

rah-e-umeed se ham baar baar guZre haiN
har ek baar magar sharmsaar guZre haiN!

savaal lab peh, zabaaN band, dil meN Hairaanee
maqaam-e-dehr se be-iKhtiyaar guZre haiN!

hujoom-e-aarzoo raNgeen kar gayaa jin ko
vohee zamaane mire Khushgavaar guZre haiN

tire Khayaal se dil kaaNp kaaNp jaataa hai
kuch` aise Haadice, ai yaad-e-yaar! guZre haiN

Khushee th`ee baai'c-e-Gham aur Gham th`e vajh-e-nishaat^
hamaare aise bh`ee kuch` Gham-gusaar guZre haiN!

butaan-e-vehm-o-gumaaN haiN yeh Hasrat-o-armaaN
ham is dayaar se kitnee hee baar guZre haiN!

a'jab naheeN keh miree a'aqibat banaa jaayeN
voh marHale jo sar-e-koo-e-yaar guZre haiN

baRhaa,o apnaa yeh :Sarwar:! suboo-e-she'r-o-Ghazal
tum aise kitne yahaaN baadah-Khwaar guZre haiN!