Ghazals | غزلیں


English اردو


SubH se ho gayee hai yaa-Rab! shaam **
SubH se ho gayee hai yaa-Rab! shaam
koyee naamah hai aur nah koyee payaam!

merHabaa! zindagee ke yeh ina'am
raah-d-pur-Khaar, manzil-e-benaam!

jo bh`ee kehnaa hai Saaf keh deejiYe
mujh` ko hotaa hai kyaa koyee ilhaam?

zindagee kaa fareb kyaa kh`aaYeN?
zindagee kaa Khameer haiN auhaam!

haaYe majbooriyaaN muHabbat kee
kar gayeeN dil kaa saaraa kaam tamaam

ham haiN aasoodah-e-jafaa warnah
naheeN un kee wafaa meN koyee kalaam!

DhooNDtaa hooN bahaanah marne kaa
zindagee ho gayee hai ik ilzaam

raas kyaa aayeN raaHateN us ko?
dil sadaa kaa hai Khoogar-e-aalaam

jis meN jaur-o-jafaa kaa raNg naheeN
aise lut^f-o-karam ko meraa salaam!

hosh kab aaYe gaa tujh`e "Sarwar"?
ab to dunyaa meN ho liyaa badnaam!