Ghazals | غزلیں


English اردو


dil-e-majboor kee aah-o-fuGhaaN se kuch` naheeN hotaa **
dil-e-majboor kee aah-o-fuGhaaN se kuch` naheeN hotaa
zameeN Khaamosh hai aur aasmaaN se kuch` naheeN hotaa!

woh ik lamHah jo teree yaad meN guZre Ghaneemat hai
wagarnah Sirf u'mr-e-jaavidaaN se kuch` naheeN hotaa!

guZarnaa hai agar jaaN se guZar jaa ai dil-e-muZ^t^ar!
muHabbat meN faqat^ naam-o-nishaaN se kuch` naheeN hotaa!

kareN to kyaa kareN, jaaYen to jaaYeN kis t^araf aaKhir?
yahaaN se kuch` naheeN hotaa, wahaaN se kuch` naheeN hotaa!

koyee pattah hile, jh`oNkaa chale, boo-e-bahaar aaYe
qafas meN Sirf Zikr-e-gulsitaaN se kuch` naheeN hotaa!

sukoon-e-dil kee qeemat ashk-e-KhooN se ho adaa shaayad
maiN us manzil meN hooN, soz-e-nihaaN se kuch` naheeN hotaa!

ilaahee! kaun see manzil meN aataa hai sukooN dil ko?
:yaqeeN se kuch` naheeN hotaa, gumaaN se kuch` naheeN hotaa:

agar anjaam Gham kaa Sirf marg-e-naagihaanee hai
to phir kyoN aap jaise mehrbaaN se kuch` naheeN hotaa?

zameen-e-she'r "Sarwar" ke liYe hai is qadar mushkil
ba-Sad koshish bh`ee us raNgeeN-bayaaN se kuch` naheeN hotaa!