Ghazals | غزلیں


English اردو


guftgoo se nah hee Soorat se a'yaaN hotaa hai **
guftgoo se nah hee Soorat se a'yaaN hotaa hai
raaz "Sarwar" kaa Gazal hee meN bayaaN hotaa hai!

raah meN jab bh`ee koyee saNg-e-giraaN hotaa hai
shauq-e-aawaarah-e-Farhaad jawaaN hotaa hai!

un se majbooree-e-ulfat kaa gilah kar nah sake
itnaa majboor koyee aur kahaaN hotaa hai/

jo tire saath` kaTe waqt wohee HaaSil-e-zeest
jo tire saath` nah guZre woh giraaN hotaa hai

log to baat kaa afsaanah banaa dete haiN
Gham Zaraa saa bh`ee jo baatoN se a'yaaN hotaa hai

kam naheeN apnee jagah aafat-e-roz-e-meHshar
dil ke jaane kaa magar aur samaaN hotaa hai!

har t^araf bikh`re haiN TooTe huYe aa,eenah-e-dil
un kaa aanaa Sifat-e-sheesha-garaaN hotaa hai

kyaa kaheN t^arz-e-suKhan-fehmee-e-ahl-e-dunyaa?
un ko har ashk-e-sitam, aah-o-fuGhaaN hotaa hai!

ahl-e-dil t^aalib-e-dunyaa hoN yeh mumkin hee naheeN
jo bh`ee woh karte haiN be-naam-o-nishaaN hotaa hai!

soz-e-ulfat hai, nah Gham-haaYe-zamaanah "Sarwar"!
aise jeene pah to marne kaa gumaaN hotaa hai!