Ghazals | غزلیں


English اردو


anjuman meN tiree kuch` aur bh`ala kyaa ho gaa? **
anjuman meN tiree kuch` aur bh`alaa kyaa ho gaa?
Khoon-e-dil ho gaa wahaaN, Khoon-e-tamannaa ho gaa!

i'shq meN jaan gayee, dil gayaa, eemaan gayaa
qehr kyaa ab koyee is se siwaa barpaa ho gaa?

imtiHaan-e-dil-e-barbaad kee Had hai koyee?
is t^araH kaun GhareeboN ko sataataa ho gaa?

u'mr bh`ar Sabr kiyaa jabr kee Soorat ham ne
daaman-e-Sabr jo ch`ooTaa to bataa kyaa ho gaa?

apnee taqdeer se aise bh`ee naheeN ham maayoos
Gham-e-jaanaaN jo nah ho gaa, Gham-e-dunyaa ho gaa!

baat kab tak yeh sunee jaaYe gee teree meree?
dil kaa jo Haal hai too ne bh`ee to dekh`aa ho gaa?

bh`oolnaa mujh` ko tiraa yooN to bajaa hai lekin
bh`ool kar yaad agar aayaa to ph`ir kyaa ho gaa?

dost mujh` se jo haiN naalaaN to haiN dushman barham
jaisaa be-faiZ^ hooN maiN, kyaa koyee SeHraa ho gaa!

ham wahaaN jab naheeN ph`ir Zikr tiree meHfil meN
kyaa GharaZ^ ham ko agar hotaa hai, hotaa ho gaa!

kyaa bataaYeN keh kahaaN luT gayaa "Sarwar" yaaro!
:naam kyaa leN, koyee Allah kaa bandah ho gaa:!