Ghazals | غزلیں


English اردو


dushman-e-jaan-o-jigar, Ghaarat-gar-e-eemaan hai **
dushman-e-jaan-o-jigar Ghaarat-gar-e-eemaan hai
i'shq ko kyaa pooch`te ho, ik balaa-e-jaan hai!

shaam hee se bujh` chalaa hai ph`ir chiraaGh-e-aarzoo
ai dil-e-barbaad! teree kyaa yehee pehchaan hai?

i'shq ko gar sehl kehtee hai, kahe dunyaa magar
kar ke dekh`e to sahee, kehnaa baRaa aasaan hai!

baat hai saaree kee saaree apne apne waqt kee
i'sh`q kee kyaa be-basee aur Husn kee kyaa shaan hai?

dekh`iYe t^arz-e-jaaa Husan-e-Ghalat^-andaaz kee
jaantaa hai ph`ir bh`ee lekin jaan kar anjaan hai!

is qadar behtar naheeN marne se yeh jeenaa miraa
zindagee kaa naam bh`ee denaa ise buhtaan hai!

qiSSah-e-Gham, a'rZ^-e-dil-sozee, bayaan-e-aarzoo
zindagaanee kaa miree gar hai to yeh u'nwaan hai!

waqt badlaa, raNg badlaa, roz-o-shab badle magar
maiN wohee hooN aur wohee Gham kaa mire saamaan hai

jaane kyaa keh rahaa hai "Sarwar"-e-deewaanah-dil
dar-guZar kar deejiYe, aaKhir ko woh insaan hai!