English اردو
iz^haar-e-alam, shikvah-e-dauraaN naheeN karte
iz^haar-e-alam, shikva-e-dauraaN naheeN karteham reHmat-e-yazdaaN ko pasheemaaN naheeN karte!
jo karte haiN yeh Khaar, numaayaaN naheeN karte
ham jaan ke tauheen-e-bahaaraaN naheeN karte
ai dil! yehee aaNsoo to haiN sauGhaat-e-muHabbat
naadaan! i'laaj-e-Gham-e-pinhaaN naheeN karte!
arbaab-e-Khirad Haal pe mere haiN pareshaaN
or apnee hee voh fikr-e-garebaaN naheeN karte!
maanoos hooN daar-o-rasan-e-i'shq se aisaa
dunyaa ke Kham-o-pech pareshaaN naheeN karte
jo meree vafaaoN se pareshaaN haiN, Khudaayaa!
kyoN mere Gham-o-dard kaa darmaaN naheeN karte?
vaaqif hooN nihaaN-Khaana-e-hastee se maiN aisaa
dunyaa ke tamaashe mujh`e HairaaN naheeN karte
kyaa farZ^ hai :Sarwar: keh bano i'shq meN kaafir?
kyoN us but-e-kaafir ko musalmaaN naheeN karte?