Ghazals | غزلیں


English اردو


fikr-e-zameeN naheeN hai, Gham-e-aasmaaN naheeN **
fikr-e-zameeN naheeN hai, Gham-e-aasmaaN naheeN
maiN us jagah hooN apnee Khabar bh`ee jahaaN naheeN!

kyaa kyaa naheeN mujh` peh use bad-gumaaniyaaN
aur mujh`ko us ke i'shq pah kyaa kyaa gumaaN naheeN!

maiN aur teree bandah-nawaazee se bad-gumaaN?
O bad-gumaaN! naheeN, are O bad-gukaaN! naheeN!

th`ee marg-e-naagihaaN se umeed aaj tak magar
:bijlee wahaaN giree hai jahaaN aashyaaN naheeN:

aaNsoo wohee haiN, aah wohee aur Gham wohee
kehtaa hai kaun keh yeh miree daastaaN naheeN?

yooN ho chalaa hooN meHram-e-asraar-e-zindagee
ab dil ko koyee kaavish-e-sood-o-ziyaaN naheeN!

kyaa kyaa fasaane keh gayee shaam-e-Gham-e-firaaq
maayoos-e-i'shq ph`ir bh`ee dil-e-naatawaaN naheeN

kh`o kar Hawaas-o-hosh mujh`e kuch` naheeN milaa
aur hosh kee jo pooch`o wahaaN bh`ee amaaN naheeN!

likkh`ee hai KhooN se har SafHah-e-zindagee pah yooN
marhooN-e-Sad-bayaan miree daastaaN naheeN

"Sarwar"! uTh`o keh bazm-e-muHabbat hai ajnabee
apnaa mizaaj-aashnaa koyee yahaaN naheeN!