Ghazals | غزلیں


English اردو


Gham-e-furqat kee lau har lamHeh maddh`am hotee jaatee hai **
Gham-e-furqat kee lau har lamHeh maddham hotee jaatee hai
:ilaahee! kyaa miree deewaanagee kam hotee jaatee hai?:

muHabbat imtiHaan-e-dard-e-paiham hotaa jaatee hai
gh`uTaa jaataa hai dil aur chash-e-Gham nam hotee jaatee hai

tumhaaree ham se jo waabastagee kam hotee jaatee hai
zahe qismat! keh jaaN shaa,istah-e-Gham hotee jaatee hai!

lagaa kar aag Khud, ahl-e-chaman aaNkh`eN dikh`aate haiN
riwaayat ik nayee gulshan meN qaa,im hotee jaatee hai!

Hayaat-e-bewafaa ho yaa keh ho woh shaam-e-tanhaayee
maiN suljh`aataa hooN jitnaa aur barham hotee jaatee hai

nah jaane mo'jizah hai i'shq kaa yaa Sirf dh`okaa hai
woh jitne door hoN begaanagee kam hotee jaatee hai!

shikaayat? woh bh`ee shehr-e-jaur meN? taubah, mu,a'az-Allah!
hamaaree bekasee Khud apnaa marham hotee jaatee hai!

nah tum badle, nah ham badle, nah t^arz-e-jaur hee badlaa
shanaasaayee GhamoN kee dil se baaham hotee jaatee hai

koyee kaafir-adaa she'r-e-mujassam kyaa banaa "Sarwar"!
hamaaree shaai'ree Husn-e-mujassam hotee jaatee hai!