Ghazals | غزلیں


English اردو


naheeN mujh` ko fikr-e-saaHil, Gham-e-naaKhudaa naheeN hai **
naheeN mujh` ko fikr-e-saaHil, Gham-e-naaKhudaa naheen hai
lagooN i'shq meN kinaare, yeh miree dua'a naheeN hai!

jo raheen-e-Gham naheeN hai, woh wafaa wafaa naheeN hai
too hai be-niyaaz jis se woh adaa adaa naheeN hai!

jo kahooN to kyaa kahooN maiN, jo karooN to kyaa karooN maiN?
maiN kahaaN hooN aur kyaa hooN, mujh`e Khud pataa naheeN hai

yehee ibtidaa-e-Gham hai, yehee intihaa-e-Gham hai
mire dil meN too hee too hai, koyee doosraa naheeN hai!

nah yooN baiTh` qalb-e-muZ^t^ar, Zaraa kuch` to keh le sunle
abh`ee kuch kahaa naheeN hai, abh`ee kuch` sunaa naheeN hai!

tiree yaad zindagee hai, tiree yaad bandagee hai
tiraa aasraa naheeN to, koyee aasraa naheeN hai

nah to koyee aarzoo hai, nah hee koyee justjoo hai
miraa a'rZ^-e-Gham ke aage koyee mudda,a'a naheeN hai

mujh`e Haal-e-dil pah yaa-Rab! jo hai is qadar ta,assuf
nayaa mujh` pah Haadicah to koyee yeh huwaa naheeN hai!

Gham-e-aashiqee se Dar ke kahaaN jaa rahe ho "Sarwar"?
abh`ee kyaa huwaa hai pyaare! abh`ee kuch` huwaa naheeN hai