English اردو
rasan yeh kyoN hai, bataa,o yeh daar kaisaa hai?
rasan yeh kyoN hai, bataa,o ye daar kaisaa hai?yeh ihtimaam sar-e-koo-e-yaar kaisaa hai?
tiree jafaa peh mujh`e e'tibaar kaisaa hai?
guloN se raabit^ah-e-nok-e-Khaar kaisaa hai?
kahaaN gaYe woh zamaane, woh KhalwateN, woh lut^f?
naz^ar churaanaa sar-e-rehguzaar kaisaa hai?
Khayaal-o-fikr baGhaawat peh kyoN haiN aamaadah?
mire wujood meN yeh iZ^t^iraar kaisaa hai?
maiN apnee Zaat se baahar hooN raaNdah-e-dargaah
ph`ir aaKhir us kaa mujh`e intiz^aar kaisaa hai?
Sabaa! bataa yeh Zaraa too kahaaN se aayee hai?
KhizaaN meN aaj yeh raNg-e-bahaar kaisaa hai?
jahaaN peh hosh uRe haiN wahaaN kee kuch` to kaho
hamaare ba'd woh shehr-e-nigaar kaisaa hai?
Khalish yehee hai pas-e-laZZat-e-Khud-aagaahee
miree Khudee meN nihaaN a'ks-e-yaar kaisaa hai?
fareb-Khurdah-e-Husn-e-KhulooS hooN warnah
KhizaaN-gazeedah yaqeen-e-bahaar kaisaa hai?
wohee Khayaal, wohee aarzoo, wohee Hasrat
tujh`e yeh rog dil-e-saugawaar! kaisaa hai?
kahaaN gayaa woh tiraa shauq-e-bazm-aaraayee?
tiree Ghazal kaa woh "Sarwar"! waqaar kaisaa hai?