Ghazals | غزلیں


English اردو


hameshah aarzoo,oN par basar kee
hameshah aarzoo,oN par basar kee
kahaanee hai yeh u'mr-e-muKhtaSar kee

fuGhaaN sunte rahe ham chashm-e-tar kee
shab-e-Gham is t^araH ham ne saHar kee

digar-gooN raNg-e-bazm-e-a'ashiqee hai
paRee hai aap ko raqS-e-sharar kee

ma,aal-e-bandagee z^aahir th`aa ph`ir bh`ee
namaaz-e-i'shq adaa ik u'mr bh`ar kee

koyee hamdard hai dunyaa meN meraa?
yeh baateN kar rahe ho tum kidh`ar kee?

bajaa hai aap kee yeh pursish-e-Gham
magar jab kee ba-andaaz-e-digar kee!

hameN tujh` se naheeN koyee shikaayat
Khabar deewaar ko hee kab hai dar kee?

naz^ar aa jaaYe gaa qat^reh meN daryaa
Z^aroorat hai magar Husn-e-naz^ar kee!

no kar dunyaa kee too "Sarwar" shikaayat
miree jaaN baat hai apne hee gh`ar kee!