Ghazals | غزلیں


English اردو


dil ne duhraaye kitne afsaane
dil ne duhraaYe kitne afsaane
yaad kyaa aa gayaa Khudaa jaane

bazm-e-ummeed kab kee Khwaab huyee
ab kahaaN shama', kaise parwaane?

SubH ke ashk, shaam kee aaNsoo
i'shq ke dekh`iYe to naZraane!

ek yaad aayee, ek yaad gayee
dil miN haiN saikRoN paree-Khaane

kis ko bh`ooloN, kise maiN yaad rakh`ooN/
saare chehre haiN jaane pehchaane

yaad kyaa aa gayaa sitam koyee?
aap baiTh`e haiN yooN jo anjaane?

pehle apnee naz^ar ko samjh`aa,o
ph`ir yahaaN aanaa mujh` ko samjh`aane!

haaN! karo aur tum mujh`e ruswaa!
Ghaaliba" kam kiyaa hai duniyaa ne?

haaYe majbooriyaaN muHabbat kee
koyee kyaa jaane, koyee kyaa maane!

bekasee, bebasee, subuk-Haalee
chun rahaa hooN naSeeb ke daane!

aarzoo kyaa hai aur kyaa hai umeed
"Sarwar"-naamuraad kyaa jaane?