Ghazals | غزلیں


English اردو


ummeed-e-karam, Hasrat-e-deedaar hai, maiN hooN!
ummeed-e-karam, Hasrat-e-deedaar hai, maiN hooN!
aashuftah-naSeebee hai, shab-e-taar hai, maiN hooN!

kuch` din to karo sair miree fikr-o-naz^ar kee!
yeh shehr-e-Ghazal gulshan-e-beKhaar hai, maiN hooN!

be-gaanah-e-sarmastee-e-Mansoor naheeN hooN
yeh i'shq hai aur laZZat-e-aazaar hai, maiN hooN!

too laakh` uTh`aayaa kare deevaar peh deevaar
yeh dekh`! tiraa saayah-e-deevaar hai, maiN hooN!

paabastah-e-aadaab-e-zamaanah ho keh tum ho
or un se t^abee,a't miree bezaar hai, maiN hooN!

deevaanah agar mujh` ko samajh`tee hai yeh dunyaa!
samjh`aa kare ai dost! kab inkaar hai? maiN hooN!

Khushkaam-o-junooNKhez-o-Khudaamoz-o-Khudeesaaz
yeh nok-e-qalam, jur,at-e-iz^haar hai, maiN hooN!

kyaa mujh` ko DaraaYeN ge shab-e-Gham ke aNdhere!
:Sarwar: miraa yeh deedah-e-bedaar hai, maiN hooN!