Ghazals | غزلیں


English اردو


mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guzar jaanaa
mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guzar jaanaa
"sirhaane se kisee kaa uTh ke woh pich`le pahar jaanaa"

kisee ko ham-nafas samjh`aa, kisee ko chaarahgar jaanaa
magar duniyaa ko ham ne kuch` naheeN jaanaa, agar jaanaa

maqaam-e-zeest ko ham ne bh`alaa kab mo'tabar jaanaa?
milaa jo lamHah-e-furSat use bh`ee muKhtaSar jaanaa

ilaahee! ham GhareeboN kee hee kyoN yeh aazmaa,ish hai?
dawaa kaa be-acar rehnaa, du,a'a kaa be-acar jaanaa

tabassum zer-e-lab teraa daleel-e-SubH-e-jaan-o-dil
tiraa naz^reN churaanaa nabZ^-e-hastee kaa Thehar jaanaa

Haqeeqat hai to bas itnee see hai haNgaam-e-hastee kee
"yahaaN par be-Khabar rehnaa, yahaaN se be-Khabar jaanaa"

salaam aisee muHabbat ko, bh`alaa yeh bh`ee muHabbat hai?
kisee kee yaad meN jeenaa, kisee ke Gham meN mar jaanaa!

rah-e-ulfat meN ham se aur kyaa ummeed rakhte ho?
yeh kyaa kam hai keh apnee Zaat ko gard-e-safar jaanaa?

too Khud ko laakh` samjh`e baa-kamaal-o-baahunar "Sarwar"
tujh`e lekin zamaaneh ne hameshah be-hunar jaanaa!