Ghazals | غزلیں


English اردو


laraz rahaa hai dil-e-saugawaar aaNkh`oN meN

laraz rahaa hai dil-e-saugawaar aaNkh`oN meN
kh`aTak rahee hai shab-e-initiz^aar aaNkh`oN meN!

Zaraa nah farq Khudee aur beKhudee meN rahaa
nah jaanae kyaa thaa tiree maigusaar aaNkh`oN meN

yeh dard-e-dil naheeN, hai baazgasht-e-meHroomee
yeh ashk-e-Gham naheeN, hai Zikr-e-yaar aaNkh`oN meN

shu,o'or-e-zeest se Khaalee naheeN KhizaaN hargiz
magar hai shart^ rachee ho bahaar aaNkh`oN meN

Zaraa Zaraa se mire raaz kh`ol detaa hai
ch`upaa hai kaun miraa raazdaar aaNkh`oN meN?

maqaam-e-shauq kee sarmastiyaaN, are taubah!
suroor-e-a'ashiqee dil meN, Khumaar aaNkh`oN meN

qadam qadam peh tiree yaad gul kh`ilaatee hai
yeh kis ne bh`ar diyaa raNg-e-bahaar aaNkh`on meN?

nabard-aazmaa duniyaa se kyaa huwaa "Sarwar"
kuch` aur baRh gayaa apnaa waqaar aaNkh`oN meN!