Ghazals | غزلیں


English اردو


Hasrat-o-yaas ko ruKhSat kiyaa ikraam ke saath
Hasrat-o-yaas ko ruKhSat kiyaa ikraam ke saath`
i'shq meN apnee to guzree baRe aaraam ke saath`

laZZat-e-kufr mile laZZat-e-Islam ke saath`
naam aa jaaYe agar meraa tire naam ke saath`

e'tibaar aaYe bh`ee to kis t^araH aaYe tujh` par?
raNg-e-zunnaar bh`ee hai tuhmat-e-iHraam ke saath`

paas aate gaYe woh Khwaab meN leHz^ah leHz^ah
door hotee gayee manzil miree har gaam ke saath`

waah ree Khoobee-e-qismt keh sar-e-shaam-e-umeed
us kaa paiGhaam jo aayaa bh`ee to ilzaam ke saath`

aa,o ham mil ke nayee raah-e-muHabbat Dh`ooNDeN
kab talak koyee nibaahe rawish-e-a'am ke saath`

Hasrat-o-aarzoo, ummeed-o-tamannaa, armaaN
laakh` aazaar haiN meree seHar-o-shaam ke saath`

kyaa hee aate haiN maze donoN jahaaN ke "Sarwar"
gardish-e-jaam bh`ee hai gardish-e-aiyyaam ke saath`