Ghazals | غزلیں


English اردو


dil yeh kehtaa hai, t^avaaf-e-koo-e-jaanaanah sahee!
dil yeh kehtaa hai, t^avaaf-e-koo-e-jaanaanah sahee!
shart^ hai sajdah vafaa kaa, so voh rindaanah sahee!

jee naheeN bh`artaa, sune jaate haiN sab shaam-o-saHar
zindagee TooTe huYe KhwaaboN kaa afsaanah sahee!

rishtah-e-ulfat saNvar jaanaa kamaal-e-i'shq hai
goshah-e-masjid naheeN to baab-e-mai-Khaanah sahee!

paasdaaree aap ko dunyaa kee hai gar is qadar
a'ar kyoN hai mujh` se milne meN, Hareefaanah shaee!

bujh` gayee baad-e-muKhaalif se jo shama'-e-anjuman
ph`ir daleel-e-raah-e-manzil Khaak-e-parvaanah sahee!

i'shq meN farq-e-maraatib? al-amaan-o-al-Hafeez^!
raNg-e-shaahaanah sahee, t^arz-e-gadaayaanah sahee!

aSl-e-eemaaN kyaa hai? yaad-e-yaar hai aur kuch` naheeN!
masjid-o-mimber sahee, yaa koyee but-Khaanah sahee!

:Sarwar:-e-naakaam apne kaam meN hushyaar hai
aap deevaanah samajh`te haiN, to deevaanah sahee!