English اردو
soz-e-pinhaaN ke sivaa, Haal-e-pareshaaN ke sivaa
soz-e-pinhaaN ke sivaa, Haal-e-pareshaaN ke sivaadehr meN kyaa milaa ranj-o-Gham-o-HirmaaN ke sivaa?
"yak nafas beesh nah th`ee furSat-e-hastaa apnee"
yaad kuch` bh`ee to naheeN mausam-e-hijraaN ke sivaa
log to baat kaa afsaanah banaa dete haiN
shor-e-meHshar naheeN kuch` shoorish-e-armaaN ke sivaa!
jab kh`ulee aaNkh` to yeh raaz samajh` meN aayaa
zindagee kuch` naheeN ik Khwaab-e-pareshaaN ke sivaa!
"dehr juz jalva-e-yaktaa,ee-e-ma'shooq naheeN"
kuch` naz^ar aataa naheeN Soorat-e-jaanaaN ke sivaa
kaun uljh`e tiree dunyaa se keh yaaRab! is meN
hai to kehne ko bohat kuch`, magar insaaN ke sivaa!
aa,o vaapas chaleN mai-Khaanah-e-ulfat kee t^araf
gardisheN aur bh`ee haiN gardish-e-dauraaN ke sivaa!
fikr-e-u'qbaa, Gham-e-dunyaa-o-tamannaa-e-Habeeb!
ranj :Sarwar: ko bohat haiN Gham-e-insaaN ke sivaa!