Ghazals | غزلیں


English اردو


aahoN kee baaraat sajee hai, ashkoN kee barsaat huyee hai
aahoN kee baaraat sajee hai, ashkoN kee barsaat huyee hai
aap jo yooN Khaamosh haiN beTh`e, koyee to aaKhir baat huyee hai!

u'mr bh`ee hai kyaa Khoob tamaashah, har lamHah ik afsaanah hai
rattee rattee subH huyee th`ee, tolah tolah raat huyee hai!

vaqt ke haath`oN she'r-o-suKhan kee manzil kh`oTee kh`oTee see hai
naadaanee ina'am banee hai, kam-fehmee sauGhaat huyee hai

ahl-e-Khirad naadaan haiN kitne, deevaanoN se Khauf-zadah haiN
deevaanoN se har manzil meN, door shab-e-z^ulmaat huyee hai

ulTee seedh`ee chaaleN chal ke, aaNkh` bachaa ke muhrah badal ke
shaat^ir qismat haNstee jaaYe, "maat huyee hai! maat huyee hai!"

apnoN ne chehre badle to Ghair se shikva karnaa kaisaa
sooraj mashriq meN jaa Doobaa, voh shakl-e-Haalaat huyee hai

Khud-aagaahee Haasil aaKhir hove gar to hove kyoN-kar
har manzil, har ek qadam paer Haa,il apnee Zaat huyee hai

raah-e-vafaa aasaan nah karnaa, :Sarwar: yaad hameshah rakhnaa
dunyaa-daaree is manzil meN tamheed-e-aafaat huyee hai