English اردو
sar-e-niyaaz agar meHv-e-Zikr-naaq rahe
Ghazalsar-e-niyaaz agar meHv-e-Zikr-e-naaz rahe
to kyoN bhalaa kabhee sharmindah-e-namaaz rahe!
niyaaz-o-naaz meN itnaa to imtiyaaz rahe
rahe yeh soz idhar aur udhar woh saaz rahe!
maqaam-e-Sabr kee mo'jiz-numaa,iyaaN, taubah!
naz^ar naz^ar se milee aur raaz raaz rahe!
qadam qadam peh thee Thokar, naz^ar naz^ar peh fareb
magar junooN ke sabhee silsile daraaz rahe!
maqaam-e-Sidrah-o-t^oobaa kee kyaa Haqeeqat hai
agar nigaah tiree aashnaa-e-raaz rahe
chalo yeh maan liyaa kam-nigaah hooN shaayad
fareb-e-Husn kaa aaKhir koyee jawaaz rahe!
dil aashnaa ho naz^ar kee har ek larzish se
dil-o-nigaah meN itnee to saaz-baaz rahe
Hayaat ek Haqeeqat thee aur ab bhee hai
magar ham apnee jagah Soorat-e-majaaz rahe!
ham is ko tark-e-tamannaa kaheN keh majbooree?
"niyaaz-mand tire tujh se be-niyaaz rahe"!
idhar yeh dil keh hai sharmindah naa-rasaayee par
udhar yeh aap kee Zid yaad se bhee baaz rahe!
zabaaN bayaan peh qurbaaN, bayaaN zabaaN peh fidaa
Khudaa kare yooN-hee "Sarwar" Ghazal-nawaaz rahe!
=============
غزل
