Ghazals | غزلیں


English اردو


vallah! muHabbat kaa hai kon bh`alaa caanee?
vallah! muHabbat kaa hai kon bh`alaa caanee?
ik aan meN kartee hai faanee ko yeh laa-faanee!

maiN tum ko bataataa hooN dunyaa kee pareshaanee
taqdeer kee daaraayee, tadbeer kee arzaanee!

dekh`e to koyee dil kee yeh soKhtah-saamaanee
barbaadee see barbaadee, veeraanee see veeraanee!

naakaam-e-muHabbat kaa qiSSah naheeN t^oolaanee!
bas yeh k kisee ne bh`ee kuch` qadr naheeN jaanee

tum se jo mire dil kaa yeh th`oRaa ta,a'lluq hai
samjh`o to baRee shai hai, varnah to hai naadaanee!

haNgaamah-e-hastee bh`ee ik t^urfah tamaashah hai
dekh`o to pareshaanee! socho to pasheemaanee!

furSat kee haiN raateN or bas teraa taSavvur hai
her Khwaab-e-pareshaaN hai ik lamHa-e-Hairaanee!

behtar hai yehee :Sarwar:! Khaamosh too ab ho jaa
dek`hee hai bohat ham ne teree yeh hamah-daanee!