Nazms | نظمیں


English اردو


Shehr-e-Nigaar ke Qit^a'at
1:
a'jab apnee tabee,a't ho gayee hai
sarasar waqf-e-Hasrat ho gayee hai
Khayaal aataa hai yeh reh reh keh "Sarwar"
hameN shaayad muHabbat ho gayee hai!

2:
Khabar kyaa ai dil-e-naadaaN! naheeN hai?
muHabbat kaa koyee darmaaN naheeN hai
bohat aasaaN hai Gham meN jee se jaanaa
GhamoN se kh`elnaa aasaaN naheeN hai!

3:
sarashk-e-Gham miree fit^rat naheeN hai
dikh`aa,ooN daaGh-e-dil, t^aaqat naheeN hai
miree Soorat hee aa,eenah hai dil kaa
shikaayat kee mujh`e a'adat naheeN hai!

4:
bh`alaa ho i'shq kaa kitne haiN eHsaaN!
nafas weHshat-zadah aur dil pareshaaN
miree har SubH SubH-e-aazoo hai
miree har shaam hai shaam-e-GhareebaaN!

5:
soz-o-dard-e-shab-e-hijraaN kaa sazaawaar rahe
zindagee teree raheen-e-rasan-o-daar rahe
gar dua'a hai to yehee hai tire Haq meN "Sarwar"
too sadaa daam-e-muHabbat meN giriftaar rahe!

6:
SubH-e-ummeed kee ph`ir shaam huyee jaatee hai
zindagee waaqif-e-aalaam huyee jaatee hai
kh`el sab haiN miree taqdeer ke lekin "Sarwar"!
a'ashiqee muft meN badnaam huyee jaatee hai!

7:
laboN par jaaN mitee aTkee huyee hai
muHabbat ik muSeebat ho gayee hai
sukoon-e-dil se maiN naa-aashnaa hooN
bataa,o yeh bh`ee koyee zindagee hai?

8:
sataa ke looT liyaa, aazmaa ke looT liyaa
naz^ar churaa ke, naz^ar ph`ir milaa ke looT liyaa
fareb-e-Husn ke andaaz kyaa kahooN "Sarwar"
dil-e-Ghareeb ko apnaa banaa ke looT liyaa!

9:
har aas nayaa Khwaab saa dikh`laatee hai
aahaT peh miree saaNs Th`ehar jaatee hai
ab Haal yeh hai i'shq meN meraa "Sarwar"
Khud apnee hee Haalat pah haNsee aatee hai!

10:
miree har aah aah-e-dojahaaN ma'loom hotee hai
shikast-e-dil shikast-e-laa-makaaN ma'loom hotee hai
judaa dunyaa ke ranj-e-Gham se Gham meraa naheeN "Sarwar"
jo suntaa hai usee kee daastaaN ma'loom hotee hai!

11:
nigaahoN se tum door jaa,o to jaaneN!
hameN jaan ka bh`ool jaa,o to jaaneN!
nah aane ke yooN to bohat haiN bahaane
taSawwur meN bh`ee tum nah aa,o to jaaneN!

12:
daastaan-e-shab-e-Gham un ko sunaayee nah gayee
dil pah har dam jo guZartee hai bataayee nah gayee
un ko dekh`aa kiYe ham TikTikee baaNdh`e "Sarwar"
woh jo aaYe to zabaaN tak bh`ee hilaayee na gayee!

13:
muHabbat Khwaab-e-deewaanah naheeN hai
muHabbat Sirf ik saudaa naheeN hai
muHabbat kyaa hai tum ko kyaa bataaYeN
tumheeN keh do muHabbat kyaa naheeN hai?

14:
itraa ke chalo ho kabh`ee bal kh`aa ke chalo ho
lehroN se ulajh`te huYe lehraa ke chalo ho
kyaa baat hai is darjah hai kyoN ham se taGhaaful?
kyoN apne hee saayeh se yooN katraa ke chalo ho?

15:
kh`el samjh`e koyee aur koyee tamaashaa samjh`e
Khwaab jaane koyee aur koyee mu,a'mmaa samjh`e
jis ne kh`aayee hee nah ho choT kabh`ee seeneh par
woh mire dil kee lagee aag bh`alaa kyaa samjh`e

16:
tamaashah saa tamaashaa ho gayaa hai
Gham apnaa hee madaawaa ho gayaa hai
uTh`aa kartee hai dil meN hook akcar
Khudaa jaane mujh`e kyaa ho gayaa hai?

17:
jaise gulshan meN dabe paa,ooN Sabaa aatee hai
jaise us haath` se Khushboo-e-wafaa aatee hai
koyee detaa ho sar-e-dasht aZaaN pich`lee raat
is t^araH dil ke dh`aRakne kee Sadaa aatee hai!

18:
naGhmah paaband-e-nai-o-saaz huwaa kartaa hai
har ik ajnaam kaa aaGhaaz huwaa kartaa hai
i'shq ik gooNj hai aur gooNj bh`ee dh`eemee dh`eemee
reg gayaa Husn? wo aawaaz huwaa kartaa hai!

19:
agar yeh aaNkh` meree nam naheeN hai
mujh`e naa-kaamiyoN kaa Gham naheeN hai
Gham-e-dunyaa, Gham-e-jaanaaN, Gham-e-dil
yeh faiZ^-e-a'ashiqee bh`ee kam naheeN hai!

20:
Khumaar-e-nashshah-e-hastee Kharaab karte haiN
gunah gunah kaa yeh har dam Hisaab karte haiN
Zaraa yeh dekh`iYe ahl-e-Khidad kee naadaanee
shumaar-e-laGHzish-e-Husn-o-shabaab karte haiN!

21:
dawaa kare koyee Gham kee,dua'a kare koyee
kabh`ee nah yooN kaheeN taRpe Khudaa kare koyee!
maiN is t^araH se jiyooN? Khaak aise jeene par
magar jo dil nah ho bas meN to kyaa kare koyee?

22:
Gham kee chiNgaaree Khamoshee meN dabee hotee hai
kabh`ee hotee naheeN z^aahir yeh, kabh`ee hotee hai
laakh` tum mujh` se shab-o-roz taGhaaful barto
kaheeN is t^araH muHabbat meN kamee hotee hai?

23:
ranj-o-aalaam se ik dunyaa bh`aree dekh`ee hai
Qais-o-Farhaad kee aashuftah-saree dekh`ee hai
koochah-e-i'shq ko aasaan samjh`ne waalo!
dil-e-majboor kee Haalat bh`ee kabh`ee dekh`ee hai?

24:
i'shq kee raah meN maiN seenah-sipar to jaa,ooN
waar dooN jaan-o-jigar, jee se guZar to jaa,ooN
kaheeN ilzaam nah deN, tujh` ko zamaaneh waale
Dar yeh hai, warnah tiree yaad meN mat to jaa,ooN!