Ghazals | غزلیں


English اردو


bh`aatee naheeN dunyaa-e-suKhansaaz kee baateN *
bh`aatee naheeN dunyaa-e-suKhansaaz kee baateN
aa ai nigah-e-naaz! kareN naaz kee baateN!

woh SubH-e-umeed aur yeh raatoN kee siyaahee
anjaam pah yaad aa gayeeN aaGhaaz kee baateN

kyaa saadah-dilee hai keh giriftaar-e-muHabbat
karte haiN qafas meN par-o-parwaaz kee baateN!

Dh`alte raheN aaNkh`oN se miree ashk-e-nidaamat
kartaa rahe koyee isee andaaz kee baateN

dil hai keh Th`ehartaa hee naheeN apnee jagah par
yaad aa gayeeN kis chashm-e-fusooNsaaz kee baateN?

kis dil se suno ge dil-e-barbaad kaa qiSSah?
samjh`o nah ise waadee-e-Shiraaz kee baateN!

ai yaad! nah aa yooN keh ho ruswaa yeh muHabbat
aa shab Dh`ale karnee haiN mujh`e raaz kee baateN!

"Sarwar" ko sukooN Khud se hee baatoN meN mile hai
kyaa soz kee baateN kare kyaa saaz kee baateN?