English اردو
Sarwar! jigar ke daaGh numaayaaN nah keejiYe!
"Sarwar"! jigar ke daaGh numaayaaN nah keejiYeyooN keejiYe keh shikwah-e-jaanaaN nah keejiYe!
har roz roz-e-Hashr hai, har shaam shaam-e-Gham
itnaa to mujh` Ghareeb pah iHsaaN nah keejiYe!
aisaa nah ho keh ashk-e-nidaamat nikal paReN
is saa,a't-e-wiSaal ko arzaaN nah keejiYe!
i'rfaan-e-i'shq aap hai i'rfaan-e-laa-ilaah
is se ziyaadah kaavish-e-eemaaN nah keejiYe
baRh` kar wuSool keejiYe zamaaneh se har Hisaab
yaa ph`ir shikaayat-e-Gham-e-dauraaN nah keejiYe!
maanind-e-boo-e-dost maiN apne vujood meN
hooN ik Khayaal mujh` ko pareshaaN nah keejiYe
ham bandagaan-e-i'shq haiN apnee micaal aap
ham se sawaal-o-pursish-e-i'SyaaN nah keejiYe
"Sarwar" ko Khaamushee hee payaam-e-Hayaat hai
kuch` keh ke zindagee ko pashemaaN nah keejiYe
غزل
