English اردو
qiSSah-e-Gham kehte kehte Khud fasaanah ho gaYe *
qiSSah-e-Gham kehte kehte Khud fasaanah ho gaYeth`e tamaashaayee magar ab ham tamaashaa ho gaYe!
Haif! yeh raNg-e-siyaasat? log kyaa kyaa ho gaYe!
raah-zan rehbar bane, dushman shanaasaa ho gaYe
farq hai ahl-e-Khirad aur ahl-e-dil meN kis qadar
yeh kinaare reh gaYe, woh Gharq-e-daryaa ho gaYe!
chand lamHe a'afiyat ke aaYe th`e mushkil se haath`
woh bh`ee waqf-e-kaavish-e-imroz-o-fardaa ho gaYe
kaun hai Soorat-gar-e-Husn-e-firaawaaN har t^araf?
ahl-e-dil sab kushtah-e-Harf-e-tamannaa ho gaYe
ik zamaanah th`aa taSawwur kee balaa-Khezee ke saath`
aaNkh` kyaa kh`olee, bh`aree dunyaa meN tanhaa ho gaYe
SubH meHroom-e-tamannaa, shaam meHroom-e-wiSaal
kitne shehr-e-aarzoo ham-raNg-e-SeHraa ho gaYe!
gar naheeN Khauf-e-Khudaa to Khauf-e-dunyaa hee sahee
kyaa kareN ge aap "Sarwar", kal jo ruswaa ho gaYe?
غزل
