English اردو
hameN kyaa kyaa milaa us aastaaN se *
hameN kyaa kyaa milaa us aastaaN se!dayaar-e-dard se koo-e-fuGhaaN se!
miraa saayah bh`ee mujh` se hai gureZaaN
shikaayat kyaa Ghubaar-e-kaarwaaN se!
talaash-o-aarzoo meN u'mr guZree
"tujh`e ai zindagee! laa,ooN kahaaN se?"
muHabbat hee th`ee ina'am-e-muHabbat
maiN jab niklaa Gham-e-sood-o-ziyaaN se
bahaaroN ne faqat^ deewaanagee dee
koyee ummeed hai to hai KhizaaN se!
"takalluf bar-t^araf! maiN Saaf keh dooN"
tumhaaraa naam hai is be-nishaaN se!
Hareem-e-naaz meN hai Zikr meraa
kahaaN tak baat poNhachee hai kahaaN se!
muqaddar hee tiraa aisaa hai "Sarwar"
gilah kaisaa zameen-o-aasmaaN se?