Ghazals | غزلیں


English اردو


huwe haiN ahl-e-jahaaN saare mehrbaaN kaise! *
huwe haiN ahl-e-jahaaN saare mehrbaaN kaise
gumaan karte haiN mujh` par yeh bad-gumaaN kaise!

nah zindagee kaa bh`arosah, nah maut kee ummeed
tumheeN bataa,o guZar ho to ho yahaaN kaise?

giraaN naheeN hai zameeN kee yeh taNg-daamaanee
guZar chuke haiN mire sar pah aasmaaN kaise!

jo chup rahooN to zamaanah haNsee uRaataa hai
bayaaN karooN jo kahaanee to ho bayaaN kaise?

nah dostoN kee tamannaa, nah dushmanoN kaa Gham
yeh kyaa maqaam hai, maiN aa gayaa yahaaN kaise?

hameeN ko zeest se kis darjah sar-giraanee hai!
hameeN ko bh`ool gayee marg-e-naagihaN kaise!

wiSaal-e-hijr kee baateN to apnee baateN th`eeN
zamaanah aa gayaa aaKhir yeh darmiyaaN kaise?

tumheeN pah jab nah rahaa e'tibaar "Sarwar" kaa
banaaYe ph`ir woh zamaanah ko raazdaaN kaise?