Ghazals | غزلیں


English اردو


zeest naa-shaad th`ee aur maut kaa saamaaN nah huwaa *
zeest naa-shaad th`ee aur maut kaa saamaaN nah huwaa
tujh` se itnaa bh`ee to ai gardish-e-dauraaN! nah huwaa!

aah! wo saaNs jo aazaad tire Gham se rahee
haaYe wo Gham jo miree zeest kaa u'nwaaN nah huwaa!

"ek haNgaamah pah mauqoof hai gh`ar kee raunaq"
chaak-e-daamaaN huwaa, gar chaak-e-garebaaN nah huwaa

ph`ir wohee shaam-e-umeed aur wohee SubH-e-Hasrat
marHalah zeest kaa koyee bh`ee to aasaaN nah huwaa

dil meN th`e chaar pehar aap kee yaadoN ke chiraaGh
zindagee bh`ar hameN andaazah-e-hijraaN nah huwaa!

a'ql ne shaam-o-saHar kyaa naheeN Dore Daale
dil-e-be-mehr kisee t^arah musalmaaN nah huwaa!

ham bh`alaa door th`e kab roz-o-shab-o-shaam-o-saHar?
aap hee ko magar iHsaas-e-rag-e-jaaN nah huwaa!

dil ke luTne kaa fasaanah to koyee baat naheeN
baat kuch` aur hai "Sarwar" jo Ghazal-KhwaaN nah huwaa!