English اردو
jo barham kisee kee naz^ar dekh`taa hooN *
jo barham kisee kee naz^ar dekh`taa hooNzamaanah ko zer-e-zabar dekh`taa hooN!
muHabbat se kyaa baa-Khabar ho chalaa hooN?
jo Khud ko bohat be-Khabar dekh`taa hooN?
maiN naa-waaqif-e-fikr-e-Saiyyaad kab hooN?
magar t^aaqat-e-baal-o-par dekh`taa hooN!
muHabbat kee baazee-garee, Allah! Allah!
"tujh`e dekh`taa hooN jidh`ar dekh`taa hooN"
sunaa hai umeedeoN pah dunyaa hai qaa,im
jo aataa hai jee meN woh kar beThtaa hooN
Khudee ho gayee hai Khudaa-aashnaayee
use har nafas jalwah-gar dekh`taa hooN
yeh Gham bh`ee mujh` dostoN se milaa hai
ba-Sad faKhr zaKhm-e-jigar dekh`taa hooN
yehee Haal gar hai muHabbat meN "Sarwar"
kisee lamHah raKht-e-safar dekh`taa hooN
غزل
