English اردو
sukooN jo dil ko naheeN, jaaN ko jo qaraar naheeN *
sukooN jo dil ko naheeN, jaaN ko jo qaraar naheeNyeh imtiHaan-e-muHabbat hai, kaar-o-baar naheeN!
sukoon-e-dil ko zamaanah meN Dh`ooNDne waalo!
yehee sukooN to kaheeN wajh-e-iZ^t^iraar naheeN?
hai koyee aisaa jo gulshan ko ph`ooNk de baRh` kar?
kisee bh`ee ph`ool ke pehloo meN kyaa sharaar naheeN?
jahaaN meN Harf-e-muHabbat hai avval-o-aaKhir
siwaaYe is ke kisee shai kaa e'tibaar naheeN!
nah pooch` dard kee kin manziloN se aaYe haiN
hameN Gham-e-rasan-o-e'tibaar-e-daar naheeN!
jo kar sako to sar-raah-e-a'am faash karo
hamaaraa raaz-e-muHabbat keh aashkaar naheeN
hujoom-e-shauq kee sar-garmiyaaN, mua'aZ-Allah!
maiN apne Husn-e-muHabbat se sharmsaar naheeN
raheN ge shehr-e-nigaar-e-junooN meN ab "Sarwar"
keh us dayaar se achh`aa koyee dayaar naheeN