Ghazals | غزلیں


English اردو


Husn i'rfaan-e-Haqeeqat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN *
Husn i'rfaan-e-Haqeeqat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN
i'shq ik Harf-e-a'qeedat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!

jis kaa aaGhaaz, nah anjaam, nah u'nwaaN koyee
zindagee aisee Hikaayat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN

meraa pairaahan-e-jaaN chaak karo, chaak karo
"mere daaman meN muHabbat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN"

log kyoN Zikr-e-qiyaamat se Daraa karte haiN?
woh tire saayah-e-qaamat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!

ibtidaa Harf-e-tamannaa kee baRee aafat th`ee
intihaa ashk-e-nidaamat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN

koyee yak-raNgee-e-Sad-raNg-e-zamaanah dekh`e
dehr juz ik jalwah-e-weHdat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!

saaNs lete huYe Dartaa hooN keh yaaro! har saaNs
mujh` ko ik saNg-e-malaamat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN

teraa afsaanah-e-GhamhaaYe-zamaanah "Sarwar"
ek farsoodah riwaayat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!