Ghazals | غزلیں


English اردو


eemaN gayaa, sukoon gayaa, zindagee gayee *
eemaaN gayaa, sukoon gayaa, zindagee gayee
tum kyaa gaYe, umeed jo th`ee aaKhiree gayee!

haNgaamah-haaYe-shauq kee Khaanah-KhraabiyaaN
th`ee jis se ik umeed woh deewaar hee gayee

bas ik naz^ar ne teree tamaashah banaa diyaa
ph`ir yooN huwaa keh Khoo-e-salaamat-ravee gayee!

yeh kyaa kiyaa keh aap ne jalwah dikh`aa diyaa?
pardah uTh`aa to Hasrat-e-pardah-daree gayee!

dil hee to hai siyaasat-e-dunyaa se Dar gayaa
apnee kahee gayee nah tumhaaree sunee gayee

har chashm chashm-e-Ghair hai, har dast dast-e-jaur
aaj is t^araH binaa-e-tamaashah rakh`ee gayee

ph`ir daaman-e-umeed huwaa meraa daaGh-daaGh
ph`ir ashk-e-KhooN se meree kahaanee likh`ee gayee

"Sarwar" bohat th`aa naaz t^abee,a't pah aap ko
aaKhir kahaaN woh aap kee zindah-dilee gayee?