English اردو
fikr kyoN ho aap ko mere dil-e-naashaad kee *
fikr kyoN ho aap ko mere dil-e-naashaad kee?zindagee barbaad karnee th`ee mujh`e, barbaad kee!
ik t^araf insaaniyat be-rooH hai, be-jaan hai
aur dunyaa ko paRee hai Qais kee, Farhaad kee!
tum se milne kaa mazah apnee jagah par Khoob th`aa
baat hee kuch` aur hai lekin tumhaaree yaad kee!
log th`e meHv-e-siyaasat, kaun suntaa daastaaN?
laakh` shehr-e-aarzoo meN aah kee, faryaad kee
shaam ashk-e-aarzoo th`e, SubH aah-e-bekasee
dil-jaloN ne Gham kee bastee is t^araH aabaad kee!
aarzoo, Hasrat, tamannaa, zaKhm-e-Gham, Khoon-e-alam
aur kyaa qismat chamaktee is dil-e-barbaad kee?
i'shq to bas naam hai ruswaayee-o-aalaam kaa
Khisht ik seedh`ee naheeN is shehr-e-kaj-bunyaad kee
shaai'ree meree dukh`e dil kee bas ik aawaaz hai
fikr kyoN "Sarwar" ho mujh` ko daad kee bedaad kee?