English اردو
kyoN Ghareeb-e-aarzoo ko is t^araH ruswaa kiyaa? *
kyoN Ghareeb-e-aarzoo ko is t^araH ruswaa kiyaa?"maiN ne tum se kyaa kiyaa aur tum ne mujh` se kyaa kiyee"
maatam-e-maaZ^ee kiyaa yaa nauHah-e-fardaa kiyaa
jo adh`ooraa reh gayaa th`aa kaam yooN pooraa kiyaa
SubH th`ee waqf-e-alam aur shaam waqf-e-aarzoo
qarZ^ yooN ham ne adaa ai zindagee! teraa kiyaa!
toR Daalaa teree betaabee ne sab meraa bh`aram
ai dil-e-barbaad! too ne kyaa kiyaa, yeh kyaa kiyaa?
haaYe woh raNg-e-siyaasat dostee ke raNg meN
dost ban ke aap ne jo bh`ee kiyee achh`aa kiyaa
yooN rahe shaa,istah-e-shaam-e-GhareebaaN u'mr bh`ar
zindagaanee ko raheen-e-wa'dah-e-fardaa kiyaa
kab hameN manz^oor th`ee ruswaae-e-rasm-e-wafaa?
dil ne kee saaree Kharaabee chaar soo charchaa kiyaa
HaZ^rat-e-"Sarwar"!lagaa baiTh`e jo ulfat kaa yeh rog
kyaa kiyaa baiTh`e-biTh`aaYe aap ne yeh kyaa kiyaa?