Ghazals | غزلیں


English اردو


uTh`e ham Khastah-dil, aashuftah-sar, be-iKhtiyaar uTTh`e *
uTh`e ham Khastah-dil, aashuftah-sar, be-iKhtiyaar uTTh`e
bahaar aayee qadam ph`ir dasht ko deewaanah-waar uTTh`e!

kuch` ab ke mausam-e-gul meN naheeN woh baat pehlee see
nigaah-e-naaz se keh do nah woh yooN sogawaar uTTh`e!

gunaah-e-aarzoo aiaa gunah to ho naheeN saktaa
ph`ir aaKhir kyaa huwaa, kyoN bazm se ham dil-figaar uTTh`e?

kahaaN se himmat-e-Sad-initz^aar-e-jaam-e-mai laaYeN?
Khudaa-raa saaqiyaa! maigooN naz^ar bas ek baar uTTh`e!

ta,a'jjub se nigaah-e-lut^f kaa muNh tak rahaa hai dil
Khudaa-naa-Khwaastah aisaa kisee kaa e'tibaar uTTh`e!

nigaah-e-sharmsaar-e-Husn-o-ra'naayee se pooch`eN ge
qasam kyoN soo-e-SeHraa is t^araH begaanah-waar uTTh`e?

abh`ee Zauq-e-gunah meN tishnagee meHsoos kartaa hooN
usee andaaz se lillaah! chashm-e-maigusaar uTTh`e!

kahaaN tak ro,iYe "Sarwar"! keh ab to waqt-e-aaKhir hai
bh`aree meHfil se kaise kaise raNgeeN baadah-Khwaar uTTh`e